Aani-jaani har mohabbat hai chalo yun hi sahi,
jab talak hai khoobsoorat hai chalo yun hi sahi.
Hum kahan ke devta hain bewafa woh hain toh kya,
ghar mein koi ghar ki zeenat hai chalo yun hi sahi.
Woh nahin toh koi toh hoga kahin uss ki tarah,
jism mein jab tak haraarat hai chalo yun hi sahi.
Maile ho jaate hain rishte bhi libaason ki tarah,
dosti har din ki mehnat hai chalo yun hi sahi.
Bhool thi apni farishta aadmi mein dhoondna,
aadmi mein aadmiyat hai chalo yun hi sahi.
Jaisi honi chaahiye thi waisi toh duniya nahin,
duniya-daari bhi zaroorat hai chalo yun hi sahi. !!