Home / Tag Archives: saadgi

Tag Archives: saadgi

Tere Ishq Ki Intiha Chaahta Hun..

Allama Iqbal Poetry

Tere ishq ki intiha chaahta hun,
meri saadgi dekh kya chaahta hun.

Sitam ho ki ho wada-e-be-hijaabi,
koi baat sabr-aazma chaahta hun.

Ye jannat mubaarak rahe zaahidon ko,
ki main aap ka saamna chaahta hun.

Zara sa toh dil hun magar shokh itna,
wahi lan-taraani suna chaahta hun.

Koi dum ka mehmaan hun aey ahl-e-mehfil,
charaagh-e-sehar hun bujha chaahta hun.

Bhari bazm mein raaz ki baat keh di,
bada be-adab hun saza chaahta hun. !!

– Click here for Allama Iqbal Poetry collection

Tere Ishq Ki Intiha Chaahta Hun..
Please Rate this poetry!