Home / Tag Archives: naukar

Tag Archives: naukar

Daayam Pada Hua Tere Dar Par Nahin Hun Main..

Mirza Ghalib Poetry

Daayam pada hua tere dar par nahin hun main,
khaak aisi zindagi pe ki patthar nahin hun main.

Kyon gardish-e-mudaam se ghabra na jaaye dil,
insaan hun pyaala-o-saaghar nahin hun main.

Yaa rab zamana mujh ko mitaata hai kis liye,
lauh-e-jahaan pe harf-e-mukarrar nahin hun main.

Had chaahiye sazaa mein uqoobat ke waaste,
aakhir gunaahgaar hun kaafir nahin hun main.

Kis waaste azeez nahin jaante mujhe,
laal-o-zumurrud-o-zar-o-gauhar nahin hun main.

Rakhte ho tum kadam meri aankhon se kyon daregh,
rutbe mein mehr-o-maah se kamtar nahin hun main.

Karte ho mujh ko mana-e-kadam-bos kis liye,
kya aasmaan ke bhi baraabar nahin hun main.

Ghalib’ wazeefa-khwar ho do shaah ko dua,
woh din gaye ki kehte the naukar nahin hun main. !!

– Click here for Mirza Ghalib Poetry collection

Daayam Pada Hua Tere Dar Par Nahin Hun Main..
Please Rate this poetry!