Home / Tag Archives: jigar

Tag Archives: jigar

Dil Se Teri Nigaah Jigar Tak Utar Gayi..

Mirza Ghalib Poetry

Dil se teri nigaah jigar tak utar gayi,
donon ko ek adaa mein razamand kar gayi.

Shaq ho gaya hai seena khusha lazzat-e-faraagh,
takleef-e-parda-daari-e-zakhm-e-jigar gayi.

Woh baada-e-shabaana ki sarmastiyaan kahan,
uthiye bas ab ki lazzat-e-khwaab-e-sehar gayi.

Udti phire hai khaak meri ku-e-yaar mein,
baare ab aey hawa hawas-e-baal-o-par gayi.

Dekho toh dil farebi-e-andaaz-e-naqsh-e-paa,
mauj-e-khiraam-e-yaar bhi kya gul katar gayi.

Har bul-hawas ne husn-parasti shi.aar ki,
ab aabroo-e-shewa-e-ahl-e-nazar gayi.

Nazzare ne bhi kaam kiya waan naqaab ka,
masti se har nigaah tere rukh par bikhar gayi.

Farda-o-di ka tafraqa yak baar mit gaya,
kal tum gaye ki hum pe qayaamat guzar gayi.

Maara zamaane ne ‘asadullaah khan’ tumhen,
woh walwale kahan woh jawaani kidhar gayi. !!

– Click here for Mirza Ghalib Poetry collection

Dil Se Teri Nigaah Jigar Tak Utar Gayi..
Please Rate this poetry!