Allama Iqbal Poetry
Jab ishq sikhaata hai aadaab-e-khud aagaahi,
khule hain ghulaamon par asraar-e-shehanshaahi.
Attar’ ho ‘rumi’ ho ‘raazi’ ho ‘ghazaali’ ho,
kuchh haath nahin aata be-aah-e-sahar-gaahi.
Naumeed na ho in se aey rahbar-e-farzaana,
kam-kosh toh hain lekin be-zauq nahin raahi.
Aey taair-e-laahauti uss rizq se maut achchhi,
jis rizq se aati ho parwaaz mein kotaahi.
Daara-o-sikandar se woh mard-e-faqeer aula,
ho jis ki faqeeri mein boo-e-asadul-laahai.
Aaeen-e-jawaan-mardaan haq-goi-o-bebaaki,
allah ke sheron ko aati nahin roobaahi. !!