Pee li toh kuchh pata na chala woh suroor tha,
woh uss ka saaya tha ki wahi rashk-e-hoor tha.
Kal maine uss ko dekha toh dekha nahin gaya,
mujh se bichhad ke woh bhi bahut ghum se choor tha.
Roya tha kaun kaun mujhe kuchh khabar nahin,
main uss ghadi watan se kayi meel door tha.
Shaam-e-firaaq aayi toh dil doobne laga,
hum ko bhi apne aap pe kitna ghuroor tha.
Chehra tha ya sadaa thi kisi bhooli yaad ki,
aankhen thi uss ki yaaro ki dariya-e noor tha.
Nikla jo chaand aayi mehak tez se ‘munir
mere siwa bhi baagh mein koi zaroor tha. !!