Kabhi iss nagar tujhe dhoondna, kabhi uss nagar tujhe dhoondna
kabhi raat bhar tujhe sochna, kabhi raat bhar tujhe dhoondna.
Mujhe ja-baja teri justju, tujhe dhoondta hun main ku-ba-ku
kahan khul saka tere ru-ba-roo, mera iss qadar tujhe dhoondna.
Mera khwaab tha ki khyaal tha, woh urooj tha ki zawaal tha
kabhi farsh par tujhe dhoondna, kabhi arsh par tujhe dhoondna.
Yahan har kisi se hi bair hai, tera shehar qariya-e gair hai
yahan sehal bhi toh nahin koi, mera be-khabar tujhe dhoondna.
Teri yaad aayi toh ro diya, jo tu mil gaya tujhe kho diya
mere silsile bhi ajeeb hain, tujhe chhod kar tujhe dhoondna.
Ye meri nazar ka kamaal hai ki meri nazar ka jamaal hai
tujhe shair shair mein sochna, sar-e baam-o dar tujhe dhoondna .!!