Garmi-e hasrat-e nakaam se jal jaate hain,
hum charaagon ki tarah shaam se jal jaate hain.
Shama jis aag mein jalti hai numaaish ke liye,
hum usi aag mein gumnaam se jal jaate hain.
Bach niklte hain agar aatish-e sayyaal se hum,
shola-e aariz-e gulfaam se jal jaate hain.
Khud-numaai toh nahi shewa-e arbaab-e wafa,
jin ko jalna ho woh aaraam se jal jaate hain.
Rabt-e baaham pe humein kya na kahenge dushman,
aashna jab tere paigaam se jal jaate hain.
Jab bhi aata hai mera naam tere naam ke saath,
jaane kyon log mere naam se jal jaate hain. !!