Home / Poets / Mirza Ghalib (page 2)

Mirza Ghalib

Zamana Sakht Kam Azaar Hai Ba-jaan e Asad..

Mirza Ghalib Poetry

Zamana sakht kam-azaar hai ba-jaan-e-asad,
wagarna hum toh tawaqqo zyada rakhte hain.

Tan-e-ba-band-e-hawas dar nadaada rakhte hain,
dil-e-z-kaar-e-jahaan uftaada rakhte hain.

Tameez-e-zishti-o-neki mein laakh baaten hain,
ba-aks-e-aaina yak-fard-e-saada rakhte hain.

Ba-rang-e-saaya humen bandagi mein hai tasleem,
ki daagh-e-dil ba-jabeen-e-kushaada rakhte hain.

Ba-zaahidaan rag-e-gardan hai rishta-e-zunnaar,
sar-e-ba-paa-e-buut-e-na-nihaada rakhte hain.

Muaaf-e-be-huda-goi hain naasehaan-e-azeez,
dil-e-ba-dast-e-nigaare nadaada rakhte hain.

Ba-rang-e-sabza azeezaan-e-bad-zabaan yak-dast,
hazaar tegh-e-ba-zahr-aab-daada rakhte hain.

Adab ne saunpi humen surma-saai-e-hairat,
z-ban-e-basta-o-chashm-e-kushaada rakhte hain. !!

Click here for Mirza Ghalib Poetry collection

Ze Bas Ki Mashq e Tamasha Junoon Alaamat Hai..

Mirza Ghalib Poetry

Ze-bas ki mashq-e-tamasha junoon alaamat hai,
kushad-o-bast-e-mizhah sili-e-nadaamat hai.

Na jaanun kyonki mite daagh-e-ta.an-e-bad-ahdi,
tujhe ki aaina bhi warta-e-malaamat hai.

Ba-pech-o-taab-e-hawas silk-e-aafiyat mat tod,
nigaah-e-ajz sar-e-rishta-e-salaamat hai.

Wafa muqaabil-o-daava-e-ishq be-buniyaad,
junoon-e-sakhta-o-fasl-e-gul qayaamat hai. !!

– Click here for Mirza Ghalib Poetry collection

Zulmat Kade Mein Mere Shab e Ghum Ka Josh Hai..

Mirza Ghalib Poetry

Zulmat-kade mein mere shab-e-ghum ka josh hai,
ek shama hai daleel-e-sehar su khamosh hai.

Nayy muzhda-e-wisal na nazzara-e-jamaal,
muddat hui ki aashti-e-chashm-o-gosh hai.

Mayy ne kiya hai husn-e-khud-aara ko be-hijaab,
aey shauq yaan ijaazat-e-tasleem-e-hosh hai.

Gauhar ko aqd-e-gardan-e-khubaan mein dekhna,
kya auj par sitaara-e-gauhar farosh hai.

Deedar baada hausla saaqi nigaah mast,
bazm-e-khyaal maikada-e-be-kharosh hai.

Aey taaza waardaan-e-bisaat-e-hawa-e-dil,
zanhaar agar tumhen hawas-e-naae-o-nosh hai.

Dekho mujhe jo deeda-e-ibrat-nigaah ho,
meri suno jo gosh-e-nasihat-neosh hai.

Saaqi ba-jalwa dushman-e-imaan-o-aagahi,
mutrib ba-naghma rahzan tamkeen-o-hosh hai.

Yaa shab ko dekhte the ki har gosha-e-bisaat,
daaman-e-baaghbaan-o-kaf-e-gul-farosh hai.

Luft-e-khiram-e-saaqi-o-zauq-e-sada-e-chang,
ye jannat-e-nigaah woh firdaus-e-gosh hai.

Ya subh-dum jo dekhiye aa kar toh bazm mein,
nayy woh suroor-o-soz na josh-o-kharosh hai.

Daagh-e-firaaq-e-sohbat-e-shab ki jali hui,
ek shama reh gayi hai so woh bhi khamosh hai.

Aate hain ghaib se ye mazaamin khyaal mein,
‘ghalib’ sareer-e-khama nawa-e-sarosh hai. !!

Click here for Mirza Ghalib Poetry collection

Zikr Mera Ba Badi Bhi Usey Manzoor Nahin..

Mirza Ghalib Poetry

Zikr mera ba-badi bhi usey manzoor nahin,
ghair ki baat bigad jaaye toh kuchh door nahin.

Wada-e-sair-e-gulistan hai khosha taala-e-shauq,
muzhda-e-qatl muqaddar hai jo mazkoor nahin.

Shaahid-e-hasti-e-mutlaq ki kamar hai aalam,
log kahte hain ki hai par humen manzoor nahin.

Qatra apna bhi haqeeqat mein hai dariya lekin,
hum ko taqleed-e-tunuk-zarfi-e-mansoor nahin.

Hasrat aey zauq-e-kharaabi ki woh taaqat na rahi,
ishq-e-pur-arbada ki gun tan-e-ranjoor nahin.

Main jo kehta hun ki hum lenge qayaamat mein tumhen,
kis ra.uunat se woh kehte hain ki hum hoor nahin.

Zulm kar zulm agar lutf daregh aata ho,
tu taghaful mein kisi rang se maazoor nahin.

Saaf durdi-kash-e-paimana-e-jaam hain hum log,
waae woh baada ki afsharda-e-angoor nahin.

Hun zuhoori ke muqaabil mein khifaai ‘ghalib’
mere daave pe ye hujjat hai ki mash-hoor nahin. !!

– Click here for Mirza Ghalib Poetry collection

Ajab Nashat Se Jallad Ke Chale Hain Hum Aage..

Mirza Ghalib Poetry

Ajab nashaat se jallaad ke chale hain hum aage,
ki apne saaye se sar paanv se hai do qadam aage.

Qaza ne tha mujhe chaha kharaab-e-baada-e-ulfat,
faqat kharaab likha bas na chal saka qalam aage.

Ghum-e-zamana ne jhaadi nashaat-e-ishq ki masti,
wagarna hum bhi uthaate the lazzat-e-alam aage.

Khuda ke waaste daad uss junoon-e-shauq ki dena,
ki uss ke dar pe pahunchte hain nama-bar se hum aage.

Ye umar bhar jo pareshaniyan uthaayi hain hum ne,
tumhaare aaiyo aey turrah-ha-e-kham-ba-kham aage.

Dil-o-jigar mein pur-afshan jo ek mauja-e-khoon hai,
hum apne zom mein samjhe hue the uss ko dum aage.

Qasam janaaze pe aane ki mere khaate hain ‘ghalib
humesha khaate the jo meri jaan ki qasam aage. !!

– Click here for Mirza Ghalib Poetry collection

Afsos Ki Dandan Ka Kiya Rizq Falak Ne

Mirza Ghalib Poetry

Afsos ki dandaan ka kiya rizq falak ne,
jin logon ki thi dar-khur-e-aqd-e-guhar angusht.

Kaafi hai nishaani tera chhalle ka na dena,
Khaali mujhe dikhla ki ba-waqt-e-safar angusht.

Likhta hun ‘asad’ sozish-e-dil se sukhan-e-garm,
ta rakh na sake koi mere harf par angusht. !!

 Click here for Mirza Ghalib Poetry collection

Aaina Dekh Apna Sa Munh Le Ke Rah Gaye..

Mirza Ghalib Poetry

Aaina dekh apna sa munh le ke rah gaye,
sahab ko dil na dene pe kitna ghuroor tha.

Qaasid ko apne haath se gardan na maariye,
uss ki khata nahin hai ye mera qusoor tha.

Zof-e-junoon ko waqt-e-tapish dar bhi door tha,
ek ghar mein mukhtasar-sa bayaabaan zaroor tha.

Aey waa-e-ghaflat-e-nigah-e-shauq warna yaan,
har paara sang lakht-e-dil-e-koh-e-toor tha.

Dars-e-tapish hai barq ko ab jis ke naam se,
woh dil hai ye ki jis ka takhallus suboor tha.

Har rang mein jala ‘asad’-e-fitna-intizaar,
parwaana-e-tajalli-e-shama-e-zuhoor tha. !!

– Click here for Mirza Ghalib Poetry collection