
Usey dekh ke palkein utha na sake ,
hum apne aansuon ko samjha na sake..
Uss ke sang bitaana chahte the tamaam umar ,
bas yahi baat apne naseeb ko samjha na sake..
Zîndagi mein bas ek hi toh khwaahish thi humari ,
usey bhi apna sab kuchh luta kar pa na sake..
Jise aitbaar tha hum pe khud se kahin badh kar ,
usey bhi hum apni sacchai ka yakeen dila na sake..
Na jaane kitni sadiyan beet gayi jaagte jaagte ,
hum phir bhi apne ghumon ko sula na sake..
Mere maula sada khush rakhna usey ,
woh bin jis ke hum kabhi muskura na sake..
Usey khone ke baad jaane kyon aisa lagta hai ,
ki hum zindagi mein kuchh bhi toh na paa sake..
Itne thak chuke hain ab toh zindagi se hum ,
ki zindagi ko bhi zinda bana na sake..
Usne phir kabhi mud kar humara haal tak na poochha ,
woh jis ka harf harf hum bhula na sake..
Na jaane kitni duaayen maangi humne uss ko paane ki ,
par apne naseeb ko hum jhuthla na sake..
Log kehte hain usey bhula kyon nahin dete ho ?
jis ke sang beeta ek pal bhi hum bhula na sake …!
Use Dekh Ke Palkein Utha Na Sake..
5 (100%)
4 votes