Milan ki saat ko is tarah se amar kiya hai Suna hai us rut ko dekh kar tum bhi ro pade the Saleeb ka baar bhi uthao tamaam jeewan Tumhein khabar thi haqeeqaten talkh hain jabhi toh Ghutan badhi hai toh phir usi ko sadaayen di hain Hai tere andar basi hui ek aur duniya Mere hi dum se toh raunaqen tere shehar mein thin Tujhe khabar kya mere labon ki khamoshiyon ne Bahut si aankhon mein teergi ghar bana chuki hai |
Hum Se Tanhai Ke Maare Nahin Dekhe Jaate – Farhat Shahzad Ghazal
Hum se tanhaai ke maare nahin dekhe jaate Haarna din ka hai manzoor magar jaan-e-azeez Dil phansa bhi ho bhanvar mein toh koi baat nahin Jin ke pairon mein samundar the jhukaaye nazren Chheen le meri samaat ki basaarat ya rabb Jin ki aahat se bandhi thi mere dil ki dhadkan Toor patthar tha mere dil ko dikha apni jhalak Maah-e-kaamil bhi jise dekh ke sajde mein gire |
Zara Si Der Mein Hum Kaise Kholte Us Ko..
Zara si der mein hum kaise kholte uss ko,
tamaam umar lagi jhooth bolte uss ko.
Jise kasheed kiya tha khumaar-e-khushboo se,
misaal-e rang hawaaon mein gholtey uss ko.
Woh khwaab mein hi utarta shuaa-e subah ke saath,
hum apne aap hi palkon pe taultey uss ko.
Woh ashq tha usey aankhon mein dafan hona tha,
gauhar na tha ki sitaaron mein roltey uss ko.
Woh bewafa tha toh iqraar laazmi karta,
kuchh aur der meri jaan tatoltey uss ko.
Kisi ki aankh se ‘mohsin’ zaroor peeta hai,
tamaam shehar ne dekha hai daultey uss ko. !!
Saja Kar Apni Hi Aankh Hazaar Chehron Pe..
Four (4) Lines Urdu Poetry
Saja kar apni hi aankh hazaar chehron pe,
kiya hai maine sadaa aitbaar chehron pe.
Main teri bazm mein kis kis se dushmani leta?
likha tha naam tera be’shumaar chehron pe …!
– Subscribe our Urdu Poetry Blog for Ghazals, Nazms, Poems, Shairy, Shayari.
Ye Woh Khidki Hai Jo Dariya Ki Taraf Khulti Hai..
Two Line Aankhen Shayari
Tum meri aankh ke baare mein bahut poochhte ho,
ye woh khidki hai jo dariya ki taraf khulti hai …!
Subscribe our Urdu Poetry Blog for Ghazals, Shayari, Nazms, Poems, Shairy, Shair.
Log Deewaar Dekhte Honge..
Aankhen Two Line Poetry
Log deewaar dekhte honge,
teri aankhen bana ke aaya hun …!
Subscribe PoetryOne for urdu poets, ghazals, shayari 2015 , nazms, or poems.
Tere Baghair Adhuri Hai Shayari Meri..
Aankhen Poetry
Tere baghair adhoori hai shayari meri,
teri aankhon se chura kar main sher likhta hun …!
Poetry Lovers, Subscribe us for all type Urdu Poetry.
Uss Ki Aankhen Jo Kabhi Shair Sunane Lag Jayen..
2 line poetry
Uss ki aankhen jo kabhi shair sunaane lag jaayen,
jitni ghazlein hain zamane mein, thikaane lag jaayen …!
Meri Aankhon Ke Raaste Se Mere Dil Mein Nahin Utra..
Two Line Poetry
Meri aankhon ke raaste se mere dil mein nahin utra,
Guzaar-gaahon mein paani tha, woh buzdil dar gaya hoga …!
Aainon Mein Aks Na Hon Toh Hairat Rehti Hai..
Aainon mein aks na hon toh hairat rehti hai,
jaise khaali aankhon mein bhi wehshat rehti hai.
Har dum duniya ke hungaame ghere rakhte the,
jab se tere dhyaan lage hain fursat rehti hai.
Karni hai toh khul ke karo inkaar-e-wafa ki baat,
baat adhoori reh jaaye toh hasrat rehti hai.
Shehar-e sukhan mein aisa kuchh kar izzat ban jaaye,
sab kuchh mitti ho jaata hai izzat rehti hai.
Bante bante dheh jaati hai dil ki har taameer,
khwaahish ke behroop mein shayad qismat rehti hai.
Saaye larazte rehte hain shehron ki galyion mein,
rehte the insaan jahan ab dehshat rehti hai.
Mausam koi khushboo le kar aate jaate hain,
kya kaya hum ko raat gaye tak wehshat rehti hai.
Dhyaan mein mela sa lagta hai beeti yaadon ka,
aksar uss ke ghum se dil ki sohbat rehti hai.
Phoolon ki takhti par jaise rangon ki tehreer,
lauh-e-sukhan par aise ‘amjad’ shohrat rehti hai. !!